Wednesday, 8 March 2017

08-March-2017

Aaj subah main utha to fir socha ki aaj interview k liye jau. Lekin hamesa ki tarah aaj bhi mera jane ka man nahi kiya aur main so kar 9 baje utha. Uthne k bad main muh dhokar net chalane laga. 11 baje main nahane chala gaya. Naha kar aane k bad main Ration Office chala gya form ko jama karne k liye. Form jama karne k bad main thora Krishna se bat kiya aur fir main Guria se 1 ghante 26 minute bat kiya. Usse bat karte-karte main ghar aa gaya. Ghar aa kar main fir se net use karne laga to 2:39 me Soma ka call aya. Main call kat diya to usne dubara call kiya. To main call kat kar usko call kiya. To fir hamare bich bat hui ki khawa hoyeche ki na. Kaje geli ki na. Ye sab normal bate ho rahi thi. Lekin jo bhi ho usko mere kam ka bahut chinta rahta hai. Jab bhi mere aur maa k bich jhagra hota hai to maa hamesa atpata kam karti hai. Jiase Locker se paisa le legi ya kuch bhi ajib kam karti hai. To aaj mera mobile, power bank aur wirless earphone ko almirah me band kar k lock kar di. Aur boli ki jab mera paisa wapas lautauge to main bhi tumhara saman lauta dungi. Jab bhi wo aisi ajib kam karti hai to main jhagra karta hu, lekin is bar main ek sabd bhi nahi bola. Jab bhi mujhe lagta tha ki ab mujhse sahan nahi ho raha hai aur ab main chilla dunga to main earphone laga kar song chalu kar deta tha, taki unki awaj na sun saku aur na hi jhagra hoga. Qki isse pahle jab main chillata tha to koi fayda nahi hota tha, ulta bad me mujhe hi manana hota tha jo kafi muskil hota hai. To kafi der drama karne k bad akhir har hi gayi. Jab main dekha ki situation thora thik hai to main kisi tarah apna mobile wapas liya. Us samay sam k 7 baj rahe the. Main dekha to Soma ka 6 Missed call aya tha. 3:53, 3:55, 4:07, 4:26, 4:27 aur 5:25 PM me. Sayad usko koi kam hoga ya kuch kharidne k liye bula rahi hogi. Lekin mere pas to mobile hi nahi tha isliye call pick nahi kar paya. Fir main usko 7 baje se lekar rat k 11 baje k bich 20 bar call kar chuka tha lekin har bar uska no swiched off aa raha tha. Jabki whatsapp par online thi, lekin fir bhi usko whatsapp nahi kar sakta tha. Agar karta to wo waha bhi mujhe block kar deti. Ab dekhna ye hai ki kab uska no on hota hai aur kab main usse bat kar pata hu. Main to soch liya hu ki jaise hi wo call receive karegi to main direct bol dunga ki main Friday ya saturday ko tumhare liye churidar kharidne k liye aa raha hu. Sayad isse wo man jaye. Ab dekhte hai ki kya hota hai. Main rat ko 11 baje k bad bhi usko 11:30 tak call karta raha. Lekin uska no band hi aa raha tha. Fir rat ko wo khud hi 11:36 me call ki. Mujhe laga ki gussa karegi, lekin hamari normal bate ho rahi thi. Bas jab main kah raha tha ki kaje besto chilam sei jonno call tulte pelam na to wo bol rahi thi ki “ami jani to, sokh ta mite geche to. Abar theke kaj thakbe, hazar khana bhul hobe.” Main bola ki emon kichu na. Amake emon bhabo na. Fir main usko bataya ki main saturay ko sam ko aunga usko gift dene k liye. Lekin wo kah rahi thi ki 5-6 hajar rupaye lekar ane k liye. Ek to itne rupaye me pata nahi wo kya kharidegi  aur dusri bat ki ye amount kafi jyada the. Fir bhi main usko is bare me jyada kuch nahi bola ki ho sakta hai ye ek majak ho aur ye bhi ho sakta hai ki ye ek sach ho. Pata nahi ab mera agla kadam kya hoga. Mere hisab se ab mujhe ye sab band kar dena chahiye qki jo mujhe chahiye thaw o to mujhe mil chuka hai aur agar mujhe ye sab continue rakhne k liye itne sare paise lagenge to kaise chalega. Kher abhi to main ja raha hu sone. Kal mujhe interview k liye jana hai. Aur Saturday ane me abhi 2 din baki hai. In 2 dino me main decide kar lunga ki mujhe age ab kya karna hai. Is sex game ko age badhana hai ya ise yahi stop karna hai.

Guria==08-March-2017==12:27 PM


Soma==08-March-2017==02:40 PM

Soma==08-March-2017==11:36 PM

Soma==08-March-2017==11:43 PM



No comments:

Post a Comment