Aaj main Interview k liye jane wala tha. To main so kar 9
baje utha. Uske bad fresh hokar khana khaya. Fir net use karne lag gaya. Net
use karte-karte mujhe 11 baj gaye. To main Ashok ko call kiya aur bola ki kal
Interview chalega kya. To usne ha bol diya. Mera aaj jane ka man nahi kar raha
tha, isliye main aaj nahi gaya. Uske bad ghar me to koi bat karne wala hai
nahi, to main aise hi net use karta raha. Fir main 4 baje Soma ko call kiya,
lekin uska no band aa raha tha. To uske bad main dubara se net use karne lag
gaya. To achanak 2-3 minute bad Soma ka call aya. Fir ham kuch bat kiye aur fir
main lag gaya net par. Fir aaj mujhe Jiya FB par msg kar rahi thi. Usse meri
thori bahut bat hui. Jiska screenshot niche hai. Aaj usne mujhe apna no bhi
diya. Fir lagbhag 7 baje main Rajeswar Giri ko call kiya. Usse main kafi der
lagbhag 44 minute bat kiya. Is bich main use apne dono sex partner k bare me
bhi bataya. Uske bad mujhe bhukh lag rahi thi to main khane chala gaya. Jab
khane gaya to dekha ki maa k liye Roti hai hi nahi. Ab meri unse bat to ho nahi
rahi thi, fir bhi main unko manae k liye gaya. Lekin wo nahi mani aur apni jid
par ari rahi. To fir main bhi khana nahi khaya. Aur dubara se net use karne lag
gaya. Rat ko 8:55 me Soma ko call kiya to usne kaha ki bad me call karungi. Fir
9:30 baje Jiya ko call kiya. To usne call receive kar k kat diya. Jab main FB
par pucha to usne bataya ki aaj uski didi ayi hui hai. Av rat k 10:20 ho rahe
hai, soch raha hu ki kha lu. Qki waise hi din bhar se khaya nahi hu. Aur khana
bhi bekar ho jayega agar nahi khaya to. In logo ko to jhagra karne k alawa kuch
ata nahi hai. Khana barbad karke paisa khud barbad karte hai aur dusro par
iljam kagate hai. Kher, main jar aha hu khane. Jab main khane gaya to mujhe maa
ki yaad aa rahi thi ki kaise bachpan me khud bhukhi rah kar mujhe khilati thi
aur aaj main use bhuka rakh kar khud khana kha liya, lekin kya karu. Subah se
main bhukha tha. Waise to subah se maa bhi bhukhi thi. Kher, ab to main kha hi
liya hu to ab iske bare me sochne se koi fayda nahi hai. Main ja raha hu sone.
Kal subah sabse pahle Krishna se 1000 Loan lena hai. Uske bad Interview k liye
jana hai. Aur fir uske bad Soma k pas jana hai. Wo mujhe 4 baje tak ane ko kahi
hai. To Interview k bad direct wahi chala jaunga. Kher, ye to kal ka plan hai
to iske bare me kal hi sochunga. Av main jar aha hu sone.
No comments:
Post a Comment