Aaj mera nind 8 baje hi khul gaya tha, lekin main bed par
aise hi leta hua tha. Fir kuch der bad dekha ki hamesa ki tarah maa aur papa
mere bare me burai kar rahe the. Ki kuch kam nahi karta hai, din bhar baitha
rahta hai ETC…. Main ye kahta hu ki jitna time aap meri burai karne me lagate
hai agar utna time aap mere sath spent kare aur sari problem sare kare to koi
rasta nikle. Lekin kya kare in logo k pas to extra ordinary dimag hai. Kher,
uske bad main fir se so gaya aur 10:30 baje utha. Uth kar socha ki ek bar Soma
ko call kar lu. Lekin fir socha ki wo 11 baje jab apne shop par jayegi to use
call kar lungi. Fir main uth kar muh dhokar nahane chala gaya. Jab naha kar aya
to maa gayi nahane k liye aur time bhi 11:30 ho raha tha to ekdum perfect time
tha Soma se bat karne k liye. Main usko call kiya lekin uska no swiched off aa
raha tha. Fir main socha ki aaj Interview k liye chala jata hu, lekin fir socha
ki itna late ho gaya h, chor kal chala jaunga. Uske bad main Youtube par car
learning ki video dekhne laga. Uske bad main socha ki Ration card ka kam kar hi
deta hu. To main 1 baje nikal gaya Ration office k liye. Raste me main
aalu-kabli khane laga isliye mujhe Ration office jane me late ho gaya. Jab main
aalu-kabli kha raha tha to main Soma ko dubara call kiya lekin uska no swiched
off aa raha tha. Fir main jab Ration office gaya to pata chala ki main late hu.
Qki 1:30 baje tak hi form jama hota hai. To main ghar k liye nikal gaya aur
raste me fir se Soma ko call kiya lekin uska no fir se Swiched off aa raha tha.
Uske bad main ghar aakar khana kha kar so gaya. Sam ko Krishna aa kar mujhe
uthaya aur fir paisa dekar apna saman le gaya. Jab wo aya to main uske sath kal
wali bat share kiya. Kuch der bad hamesa ki tarah maa fir se uske samne
ram-kahani suru kar di. Aur rone lagi. Mujhe to samajh me nahi aata hai ki
kaise sabke samne rone ka natak kar leti hai. Mujhe to real me bhi kisi k samne
rone me sharm aati hai. Bihar se aye huye kitne din huye aur jhagra suru hai.
Jab Bihar me PC k sath ma aka jhagra hua to papa thik hi kah rahe the ki maa ki
galti hogi. Qki isko to jab tak jhagra nah o iske pet ka pani nahi pachta hai.
Fir pata nahi Krishna maa ka hi side le raha tha. Bad me usne bataya ki bhai
sorry, aunty k samne natak karne para. Usne bola ki bhai abhi to time hai masti
karne ka, agar abhi masti nahi kiya to kab karega. Wo bol raha tha ki bhai agar
call karna hoga to ghar se bahar nikal k call kar lena. Ya dusra room me chala
jana. Dekh, bhai teri mummy purine jamane ki hai to unko ye sab ajeeb lagega hi.
Ye sab bol kar wo chala gaya. Uske jane k bad main Soma ko dubara call kiya
lekin uska no av v band tha, jabki wo whatsapp par aaj 3 bar online ho chuki
thi. Aaj usko din-bhar me main lagbhag 5-6 bar call kar chuka tha. Lekin sabhi
bar uska no band hi aa raha tha. Mujhe ab lag raha tha ki kahi main kal uska
call kat diya to uske wajah se to gussa nahi hai. Qki jab main uska call kat
diya to uske bad jab usne mujhe call kiya to boli ki khana kha liya to so jao.
Ye bol kar call kat di. Pata nahi mujhe kuch samajh me nahi aa raha tha. Agar
ye kam wo pahle karti to, definetly mujhe sak hota ki wo sirf paise ki bhukhi
hai. Qki jab usko paise ki jarurat hoti hai to mujhe call karti hai aur jab kam
nikal jata hai to call bhi nahi leti hai ki kahi main fir se Sex ki bat na suru
kar du. Lekin ab to main uske sath Sex kar chuka hu. To ab wo aisa q kar rahi
hai mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai. Lekin ab mujhe to itna viswas ho
gaya hai ki wo ye sab sirf paise ki bhukh se nahi kar rahi hai. Iske alawa uske
pas Sex ki bhi bhuki hai. Qki jab main kal uske sath Sex kar raha tha to main
dekha tha. Lekin pata nahi ab kya ho gaya jo no band kar k rakhi hai. Main usko
9 baje bhi call kiya ki sayad bus me hogi to no on ki hogi. Lekin us samay bhi
no band tha. Fir main rat ko 11 baje usko call kiya ki sayad av ghar me hogi to
bat ho payegi lekin us samay bhi no band hi tha. Fir main usko 11:17 me call
kiya to uska no on tha. To main usko bola ki “No ta bondo ache keno, sokal
bela theke. To wo boli ki besi question korbe na. Sorir ta bhalo na. Main bola
ki sorir ta ekhun thik ache, dokane gechile. ETC… “ Ye sab bat karne k bad
usne call kat diya. Fir main net par kam karne laga. Uske bad papa aye aur fir
wahi hua jo hamesa hota hai. Maa aur papa bolne lage, mere sapno pe pani pher
diya is larke ne. Kitna sapna socha tha kid hum-dham se sadi karenge aur ye to
kisi larki k chakkar me para hai Mujhe to in logo ki soch par taras ati hai, ki
kitni ghatiya soch hai in logo ki. Ye log jaisa sochte hai us hisab se agar koi
kuch nab hi karna chahe to paresan hokar kar baithe. Ujjwal Patni ka kahna tha
ki jisne bulb banaya use uske principal ne school se ye kah kar nikal diya ki
apka beta mand budhdhi hai, ham ise apne school me nahi padha sakte. Aap ise
apne ghar me padhaiye. To us samay uski maa ne ye kaha ki aap jhuth bol rahi
hai mera beta mand budhdhi nahi hai. Aur aaj dekhiye unhone kitna bara awiskar
kiya. Agar uski maa ye soch leti ki mera beta mand budhdhi hai to wo uske sath
waisa hi behavier karti. Aur wo na chahte hue bhi mand budhdhi ho jata. Usi
tarah aap agar kisi insan ko ek hi bat k liye bar-bar paresan karenge to ho
sakta hai ki wo insan na chahte hue bhi wo kam kar le. Main sirf ek larki se
bat kiya to ye log ab ajib-ajib bate karne lage hai. Agar ek pal k liye main
man bhi lu ki main apni girlfriend se bat kar raha tha to kya ho gaya. Kisi se
pyar karna koi galat bat hai kya. Bhagwan Sri Krishan ne bhi pyar kiya,
Bare-bare celebrity jaise Amitabh Bachchan, Abhisek Bachchan, Rishi Kapoor in
sab ne bhi Love Marriage kiya to in logo k parents to in logo ko kabhi kuch
nahi kahe. Are Masti, Grand Masti aur Great Grand Masti movies me dikhaya gaya
hai ki un logo ki sadi ho jati hai phir bhi bahar ghumte rahte hai ki kahi se
koi mil jaye jiske sath masti kar sake. Aur hame jab mil raha hai to ham q na
masti kare. In logo k man me bas dahej ki bat hai. Pata nahi hamare desh k log
kab jagrukh honge aur kab in sab ghatiya chijo se hamara dimag hatega. Are jab
aap jindgi bhar kam karke aone sapno ko pura nahi kar paye to fir dusro k paise
par q raj karna chahte hai. Aur aisi soch sirf in jaise logo k pas hoti hai.
Qki in logo k pas padhai ka gyan nahi hai. Isliye hi kahte hai ki thora padhai
kar leni chahiye taki aap bhi khus rahe aur dusro ko bhi khus rahne de. Inke
jagah par agar abhi Amitabh Bachchan ya Ujjwal Patni ya koi bhi educated
persion hota to aisa kabhi nahi sochta. Qki pahli bat to Love karna koi galat
kam nahi hai aur dusri bat main sirf apne friend se bat kar raha tha. In logo k
hisab se Ek larka aur ek larki me dosti nahi ho sakti hai. In dono k bich ya to
GF, BF ka relation ho sakta hai ya fir Husband Wife ka. Main to dekha hu bahut
se Friend (Boy & Girl) jab milte hai to ek dusre ko hug karte hai. Main
kv-kv sochta hu ki wo kam agar koi inke samne kar de to phir to kamayat hi aa
jayega. Kher, ab in topic k upar main jitna bhi kahunga kam hi hoga qki in topic
k bare me kahne k liye mere pas bahut kuch hai. Lekin kal mujhe interview me
jana hai to main ab ja raha hu sone. Good Night.
Soma==07-March-2017==11:17 PM
No comments:
Post a Comment