Tuesday, 14 March 2017

14-March-2017

Aaj subah main utha to yahi soch raha tha ki akhir Soma ne kal mujhe call q nahi kiya. Main uska whatsapp check kar raha tha to dekha ki uska last seen kal rat 11:30 ka dikh raha tha. Main soch raha tha ki jab wo kal rat ko itni der online thi to mujhe call q nahi ki? Ek pal k liye main socha ki main usko av call kar lu, lekin fir socha ki av to wo ghar par hogi. Halaki uska no band hi hoga, lekin agar no chalu hua aur agar uske ghar walo ne call pick kiya to fir Soma mujhse bat bhi nahi karegi. To main apne aap par control kiya aur fir fresh hua. Uske bad main khana khaya au fir 10:18 me Soma ko call kiya. Lekin uska no ab bhi band tha. Main usko dubara 10:45 me call kiya. Lekin ab bhi no band tha. Fir main nahane chala gaya. Naha kar ane k bad main Soma ko 11:20 me call kiya. Uske bad mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki wo mujhse kal bhi bat nahi ki, aur aaj bhi bat q nahi kar rahi hai. Main usko fir se usko 11:36 aur 11:57 me call kiya, lekin ab bhi uska no band tha. Main ab sochne laga ki kahi usko koi naya banda to nahi mil gaya. Main pata nahi in sab chijo k baro me q soch raha tha. Qki ham dono me koi bhi ek dusre se na to love karte the na hi sadi karne wale the. Main usko call par aise hi usko bolta hu ki mujhse sadi kar lo, lekin hamare bich aisa kuch nahi tha. Fir bhi, pata nahi q main itna soch raha tha. Sayad uska jhuth pakarne k liye. Qki pahle uska no hamesa chalu rahta tha, lekin ab har waqt band q rahta hai. To ye ho sakta hai ki no isliye band kar k rakhti hogi qki agar no chalu raha to ya to main ya fir uska koi naya banda call kiya aur usi same time par main ya uska naya banda call karega, to no busy ayega. Aur mujhe pata hai ki ye no sirf mujhe pata hai aise hi agar uska koi naya banda hoga to use bhi yahi lagega ki ye no sirf usko pata hai. Lekin jab no busy ayega to usko problem ho sakta tha. Halaki iska bhi wo bahana bana deti ki customer care me bat kar rahi thi, lekin fir bhi mujhe kahi na kahi aisa lag raha tha ki wo mujhse kuch chupa rahi hai. To main socha ki wo to mujhe call kar nahi rahi hai aur uska no bhi band aa raha hai. To main ek Hi likh kar usko msg kar diya. Taki jab bhi uska no chalu ho to mujhe pata chal jaye. Uske bad main bank chala gaya. Bank se wapas jab main aa raha tha to 1:13 me Soma ka call aya. Main jaldi se uska call kat kar dubara usko call kiya aur boli ki “ki holo kal k theke ek ta call korle na. To wo boli ki maa chilo, sei jonno call korlam na. Main bola ki tumi call korle na, sei jonno ami ghumate parlam bhalo bhabe. Wo boli ki baba, koto natok korte paris tui. Fir hamlog normally bat karne lage, ki holi khelle kin a. Kaje keno gele na.” Usse main 8 minute 14 sec bat kiya. Bat karne k bad main jab check kiya ki msg deliver kab hua to main dekha ki msg 1:08 me deliver ho gaya tha, aur Soma mujhe 1:13 me call ki thi. To us waqt mujhe fir sak hua ki ye apna no chalu karne k bad 5 minute tak kar kya rahi thi. Fir mujhe laga ki ho sakta hai ki jaise no chalu ki ho waise hi dukan me customer aa gaye ho. Lekin main soch raha tha ki kaise kaise main iska sach jan saku. Ab ye koi facebook to hai nahi ki isko hack kar lu. Main socha ki main direct Soma se hi is bare me bat kar leta hu. Lekin fir socha ki is bare me to wo mujhe batayegi nahi. Ulta gussa jo hogi wo alag. Aur bina pura sach jane kisi par iljam lagana bhi sahi nahi hai. To is bare me main kafi soch raha tha, fir main Pan card k office gaya. Waha se main Pan card k liye form laya. Jab main ghar aya to socha ki ek tarika hai, jisse agar wo mujhse kuch chupa rahi hai to sayad main wo jan pau. Main ye socha ki “is bar jab main usse milunga to main usko kahunga ki dekho Soma ebar theke ami amar life er sob kichu tomar sathe sare korbo. J amar life ke-ke ache. Kono meye asche ki na. Kono Girlfriend holo ki na. Sob kichu tomake bolbo. Tahole tumiyo ki amake sob kichu bolte parbe. J tomar koto ta friend ache, tomar life e amake chara aro onno keu ache ki na.” Main ye sab is tarike se puchunga ki sayad wo mujhe apne bare me sab bata de. Mujhe kabhi-kabhi lagta hai ki wo har samay to apne dukan me hi busy rahti hai to fir wo kisi aur k sath kaise time spend kar payegi. Lekin fir main sochta hu ki wo sex ki itni bhukhi hai fir wo kaise bina sex k ek mahine tak rah pati hai. Aur mujhe kaise pata ki wo har waqt dukan me rahti hai. Ho sakta hai ki wo mujhse jhuth hi bol rahi ho. Kher, jo bhi ho ab ya to main aj rat ko jab uska call ayega to main usko bolunga ki ab se main apni life ki sari bate share karunga ya fir jab milunga to bolunga. Aur kya pata ye sab bolne k bad agar wo mujhse kuch chupa rahi hai to mujhse sab bata de. Uske bad main apne kamo me lag gaya. Kuch der bad Jay Sree ayi, apna micromax ka mobile lekar. Uske mobile me ringtone ka sound bahut kam aa raha tha. Actually ek to uska mobile tha micromax ka. Jo ki kachra mobile banati hai. Aur uska function bhi mujhe samajhne me mujhe kafi der lagi. Ye aisi company jo mobile to bana deti hai, lekin application nahi banati hai. Jaise usme flash light to hai lekin tourch application nahi hai. Waise hi music ka koi application nahi hai. To main socha ki kisi tarah koi song download karke usme dal du. Lekin kafi der k bad mujhe option mila jaha se koi downloaded song ko ringtone bana sakte hai. Lekin wo song me bhi dam nh tha, ya fir ye kahe ki mobile k speaker me hi dam nh tha. Ab koi naya song main net par khoj raha tha, lekin na mujhe koi Bengali song ka pata tha na hi Jay sree ko koi new song k bare me pata tha. Aur hindi song use chahiye nahi tha. Aur fir net bhi slow tha to main usko bola ki kal aiyega. Ye sab karte-karte 9:30 baj gaye. Uske bad ham khana khaye. Fir maa baithi thi mere pas. Maa 10:30 baje sone gayi. Fir main wait kar raha tha ki kab Soma ka call aye. Uske bad 11:30 baje papa bhi kam se aa gaye. Aur usi samay Soma ka call aa gaya. To main call receive karte-karte main bol diya ki tomar no ta sob somoy bondo thake kano. To wo gussa hokar call kat di. Main usko dubara call kiya. 3 minute bat kiya, lekin jab last me usko bola ki tumi amar sathe kobe jabe khete. To wo fir se call kat di. Main dubara usko call kiya. To is bar usse 6 minute bat hua. Aur sayad is bar uska gussa bhi kam hua. Qki uska gussa kam karne k liye main usko bol diya ki ami thrusday te jabo Interview dite, to ami tomake sei din kichu gift debo. To wo boli ki sei din to tumi amake langha dite parle na. Akhun ki debe tumi. To ye sab bat main kiya aur main uska kuch had tak gussa kam kar diya. Ab aaj to wo already itna gussa ho gayi thi to main usse ab sachchai janne ki kosis nahi kiya. Ab main jab usse milunga to hi usse ye sab bat karunga. Lekin pata nahi q jis din wo mujhse bat nahi karti hai ya bat karti bhi hai to gussa hokar kat deti hai, to main bechain jaisa ho jata hu. Aur sochta hu ki kab kal ho aur main dubara usse bat kar saku. Taki main nischint ho saku ki wo ab mujhse gussa nahi hai, ya agar hai bhi to uska gussa kam kar saku. Ab dekhte hai ki kal wo mujhse santi se bat karti hai ya nahi.

Soma==14-March-2017==01:13 PM

Soma==14-March-2017==11:34 PM

Soma==14-March-2017==11:35 PM

Soma==14-March-2017==11:39 PM

No comments:

Post a Comment