Aaj subah main uth kar fresh hua. Uske bad bazar se sabji
kharid kar laya. Uske khana khaya aur thora youtube chalaya. Main aaj late se
utha tha to ye sab karte-karte 12 baj gaye. Main wait kar raha tha ki kab Soma
ka call aye aur wo bataye ki kal use kya chahiye. Sath me mujhe ye bhi pata
chal jata ki uska mere upar ka gussa kam hua ya nahi. Dekhte hai ki kab tak
uska call ata hai. To main aise hi apne blog likh raha tha ki 1:16 me Soma ka
call aya. To main dusre room me chala gaya usse bat karne k liye. Hamlogo ka
call bar-bar kat jar aha tha. To main use total 4 bar call kiya. Aur total
hamlog lagbhag 11 minute bat kiye. Bat k dauran wo kal k shopping ka jo list
batayi, usse to mujhe lagta hai ki karib 3000 rupaye lag hi jayenge. Uske kuch
der k bad main pan office chala gaya, mummy aur papa ka Pan Card banane k liye.
Pan Office se ane k bad main computer par animation ka kam karne lag gaya. Uske
bad main 9 baje khana khaya. Khana khane k bad main 9:50 me Soma ko call kiya.
Lekin uska no band tha. Uske bad main dubara se net chanalne lag gaya, aur
mobile me game khelne lag gaya. Rat ko 11:21 me Soma ka call aya to us samay
main usse 10 minute 45 sec bat kiya. Ab dekhna ye hai ki kal main usko uska
lagbhag 3000 ka gift de pata hu ya nahi. Lekin agar gift diya to usko is bar
sex karne k liye jarur bolunga. Chahe wo gussa ho ya kuch bhi ho. Main bolunga
ki ek date batao jab ham fir se sex kar sake. Aakhir main sirf gift dunga,
badle me agar mujhe kuch na mile to sirf gift dekar kya fayda. Kher, ab iske
bare me kal hi sochenge. Filhal main jar aha hu sone. Kal mujhe Interview me
bhi jana hai.
No comments:
Post a Comment