Roj ki tarah aaj bhi main uth kar Anjani ko good morning msg bheja aur fir uska bhi reply aya. Main aaj office 7 bje hi pahuch kar login kar diya. Qki call 8 bje se aya h aur aise me hme 1 ghante ka fayda ho jata h. Dopahar me break par nikalne k bad dekha ki Anjani ka kuch msg aya tha, jb main uska reply diya to uska call aya. Mere hisab se sayad usne isliye call ki hogi qki usko mere project k bare me janna tha. Aur yahi hua, call karne k bad boli ki mere pas sirf 5 minute time h. Bolo ki kya dream h aapka. To main usko apne dream k bare me bataya aur fir uska opinion manga. To wo boli ki bahut achi soch hai aur jarur pura hoga. Jo apko bolta h ki nh hoga usko khich kar chata maro. Chata marne ka mtlb h ki aap apna dream pura kar k usko dikha do usko khud chata lag jayega. Fir main bola ki meri English weak h kya karu. Wo boli ki koi institute join kar lijiye. Itna kam to karte hi hai ye bhi kar lo. Main bola actually mujhe English samajh me hi nahi ati h. Usne bola ki jb programming jaisi complicate apko smjh me aa gyi to fir ye English kya chij h. Try karo ho jayega. Fir wo boli ki main apse jyada bat nh kar paungi na call me na msg me. Main bola ki q kya problem h. To wo boli ki bahut problem h. Fir boli ki thik h apko v to office jana h aur mujhe v kuch km h. Isliye bad me bat karte h. Main v ok bol k call kat diya. Fir jb sam ko break par nikala to uska msg aya tha ki agar main apko kahu ki aap mujhe paresan karte ho to kya aap mujhe call aur sms karna band kar doge. To main reply diya ki agar aap sach me meri call aur sms se paresan rahte h to band hi karna parega qki aur koi rasta v to nh h. Fir uska reply aya ki apka sms pack kam nh kar raha h aur mere main bal se kat raha h. Aap jara check kar batayenge ki kya problem h. Main loan lekar msg kar rahi hu. Main break par nikalne se phle check kiya tha uska 144 msg tha fir ye problem q ho raha h. To main bola ki thik h check kar 8 bje bataunga. Av main office ja raha hu. Fir main chala gya office. Waha check karne par pata chala ki aaj wo 106 msg ki h. As per TRAI GUIDELINE 100 msg k bad apka sms bal kam nh karta h aur every msg ke liye 0.50 paisa charge lagta h. Office se nikal kar main usko ye bat msg me bataya. To wo boli ki acha to phle batana chahiye tha na main kitna paresan hui aur apka sara hua agent bhi mujhe kuch nh bataya. Main usko bola ki main to already bol chuka hu ki waha call karne se koi fayda nh h agar aap apna time waist karna chahte h to waha call kijiyega. Uske bad uska reply aya ki aap mujhe bahut paresan karte h to aaj se no call no msg ok bye. Main bola ki thik h agar aap mere msg se ya call se paresan h to yahi sahi. Lekin main apko kb aur kis bat k liye kiye paresan.
No comments:
Post a Comment