Aaj mausi ke ghar me hi uth kar naha dho kar baitha tha. Dopahar me khana khane ke bad lagbhag 3 baje ham Pailan mandir ghumne ke liye nikal gaye. Waha mandir kafi achi bani hui thi lekin photo lene nahi de raha tha. Mujhe samajh nahi ata hai ki photo lene se kya problem ho jati hai. Kya ham unke mandir ko kha jayenge ya unka naksa bana kar unke jaisa koi dusra mandir bana denge. Agar koi atankvadi attack karega bhi to uske kisi photo ki jarurat nahi paregi. Ye totally publick ko paresan karna hai. Mandir dekhne ke bad maa ne kaha ki kuch khilao to main mausi ke liye jhal muri liya, fir main apke liye, didi ke liye aur maa ke liye fuchka kharida fir ghugni kharida. Uske bad ham ghar aa gaye. Raste me Sunil baiya ke whatsapp par message kar raha tha to koi reply nahi aya. Main kafi sari message kar raha tha to whatsapp par call aya main receive kiya to yr kya call par bhabhi thi. Thori der hamari bat hui, fir didi ne bhi unse bat ki. Ghar jakar didi ne kaha ki main aaj padhane nahi jaungi tu aaj ruk ja. Lekin main nahi ruka qki mujhe kal office jana tha. Aur fir main ghar aa gaya.
No comments:
Post a Comment