Tuesday, 28 February 2017

28-February-2017

Aaj main subah 5:45 me hi uth gya. Lekin bed par leta hua tha aur apne aap ko kosh raha tha ki q main kal Soma k dusre no par call kiya. Bar-bar Soma ka whatsapp check kar raha tha ki kab wo online ho aur mera msg aur audio file dekhe jo kal rat ko maine use send kiya tha. Lekin uska last seen bar-bar kal rat 10:57 tak ka hi dikha raha tha. Main usko call v nh kar sakta tha. Qki ek to uska dimag pahle se garam tha aur kahi call kiya to mamla kahi aur jyada na bigar jaye. Kal usne mujhko kaha tha ki jokhun amar matha thanda hobe tokhun call korbo. Matha ta thanda hobe ki hobe na ami nije jani na. Mujhe isi bat ka dar h ki kahi wo agar paise k liye mera use kar rahi hogi to definitely uska dimag kabhi thanda nh hoga aur na hi wo ab mujhe call karegi. Kher, abhi 7:16 ho raha h to main ab chalta hu fresh hone. Uske bad mujhe office v jana h. Dekhte h ki uska call ata h ya nh. Agar call aa gaya to main usko biriyani k liye offer karunga qki usko biriyani bahut pasand h to sayad isi bahane wo man jaye. Kher, ab to ye aaj ka din hi batayega. Phir main taiyar hokar office k liye nikal gya. Aaj main Sealdah Arup se pahle pahuch gya tha. Fir jab Arup aya to ham dono milkar office lagbhag 11 bje gye. Lagbhag 12 bje Soma ka call aya. To hamesa ki tarah is bar bhi main call kat k dubara call kiya. Call receive karte hi wo chilla kar boli ki "ami tomake bollam na ami akhun kotha korte chai na, tahole bar-bar msg kore jacho kano." To hamare bich aise hi bahas baji hui fir wo call kat di. Fir wo mujhe 3 bje call karke normally voice me kah rahi h ki "ek ta kotha bolbo. Kono questions korbe na to. Main bola ki bolo. To boli ki tomake bar-bar kore bollam msg na korte tau tumi msg er upor msg kore gele. Tumi kal k j voice msg pathiye chile, seta amar bhai aaj k dekhe niyeche. Tar jonno tomake ami whatsapp e block kore dilam." Fir main usko bola ki er por theke tomake kono din ami msg korbo na. Lekin wo nh mani aur bol rahi thi ki ami kono kotha sunte chai na aur call kat di. Main usko sara din contact karna chah raha tha lekin contact nahi kar paya qki wo apna no band kar ke rakhi thi. Rat ko bhi jab uska mobile on hua to direct kah di ki ami bollam na ami kono kotha bolte chai na, tahole call korcho keno bar-bar. Fir hamare bich thori bahas bazi hui to last me main ye bol diya ki ami bujhe gechi. Fir wo call kat di. Main bhi ab usko jyada call nahi kiya. Aur thori der net use karne k bad so gaya.

No comments:

Post a Comment